chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte
chehroñ ko to paḌhte haiñ mohabbat nahīñ karte
kyā log haiñ zaḳhmoñ kī himāyat nahīñ karte
zanjīr kī jhankār se ābād haiñ zindāñ
ham lazzat-e-guftār kī hasrat nahīñ karte
ḳhush-rañg ujāloñ kī barastī huī būñdeñ
girtī huī dīvār se nafrat nahīñ karte
patthar kī fasīloñ meñ unheñ nasb kiyā jaa.e
jo apnī rivāyat se baġhāvat nahīñ karte
vo merī talab ho ki tirā lams-e-badan ho
nashshe kabhī andāza-e-vahshat nahīñ karte
chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte
kya log hain zaKHmon ki himayat nahin karte
zanjir ki jhankar se aabaad hain zindan
hum lazzat-e-guftar ki hasrat nahin karte
KHush-rang ujalon ki barasti hui bunden
girti hui diwar se nafrat nahin karte
patthar ki fasilon mein unhen nasb kiya jae
jo apni riwayat se baghawat nahin karte
wo meri talab ho ki tera lams-e-badan ho
nashshe kabhi andaza-e-wahshat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.