chehron mein nazar aaen aankhon mein utar jaen
chehroñ meñ nazar aa.eñ āñkhoñ meñ utar jaa.eñ
ham tujh se judā ho kar har samt bikhar jaa.eñ
din bhar kī mashaqqat se thak haar ke ghar jaa.eñ
aur apnī hī dastak kī āvāz se Dar jaa.eñ
achchhā hai ki ham apne hone se mukar jaa.eñ
yā apnī ḳhabar de kar chupke se guzar jaa.eñ
jis shahr bhī ham jaise barbād-e-nazar jaa.eñ
aurāq musavvir ke tasvīr se bhar jaa.eñ
uḌte hue pattoñ ne mausam kī ḳhabar dī hai
ham phir se sañvarne ko ik baar bikhar jaa.eñ
phūloñ kī qabā pahneñ ḳhvāboñ kī dhanak oḌheñ
ham qarya-e-jānāñ meñ kyuuñ ḳhāk-basar jaa.eñ
chehron mein nazar aaen aankhon mein utar jaen
hum tujh se juda ho kar har samt bikhar jaen
din bhar ki mashaqqat se thak haar ke ghar jaen
aur apni hi dastak ki aawaz se Dar jaen
achchha hai ki hum apne hone se mukar jaen
ya apni KHabar de kar chupke se guzar jaen
jis shahr bhi hum jaise barbaad-e-nazar jaen
auraq musawwir ke taswir se bhar jaen
uDte hue patton ne mausam ki KHabar di hai
hum phir se sanwarne ko ek bar bikhar jaen
phulon ki qaba pahnen KHwabon ki dhanak oDhen
hum qarya-e-jaanan mein kyun KHak-basar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.