chhai jo har su badli kali aankh mein aansu aae
chhā.ī jo har sū badlī kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
dekh sake na panchhī Daalī aañkh meñ aañsū aa.e
mere des kī jannat jaisī dhartī ujḌī ujḌī
har jā dekhī jab bad-halī aañkh meñ aañsū aa.e
ḳhemoñ kī bastī meñ vo jo zinda lāsheñ haiñ
dekh ke un kī aañkh savālī aañkh meñ aañsū aa.e
ThanDā siina dhartī kā hai bhuuk ke maare haiñ sab
din tiira aur raat hai kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
kyūñkar ham pardes ko apnā des kaheñ batlāo
kis zālim ne rasm ye Daalī aañkh meñ aañsū
kis ko siine se lipTā.eñ kis kā māthā chūmeñ
dekh ke ghar kā āñgan ḳhālī aañkh meñ aañsū aa.e
jis ne ghar ke bāġhīche ko apne ḳhuun se sīñchā
chhoḌ gayā jab is kā maalī aañkh meñ aañsū aa.e
'amjad' kaisī aag lagī hai lafzoñ ke paanī meñ
ujlī ġhazleñ ho ga.iiñ kaalī aañkh meñ aañsū aa.e
chhai jo har su badli kali aankh mein aansu aae
dekh sake na panchhi Dali aankh mein aansu aae
mere des ki jannat jaisi dharti ujDi ujDi
har ja dekhi jab bad-hali aankh mein aansu aae
KHemon ki basti mein wo jo zinda lashen hain
dekh ke un ki aankh sawali aankh mein aansu aae
ThanDa sina dharti ka hai bhuk ke mare hain sab
din tera aur raat hai kali aankh mein aansu aae
kyunkar hum pardes ko apna des kahen batlao
kis zalim ne rasm ye Dali aankh mein aansu
kis ko sine se lipTaen kis ka matha chumen
dekh ke ghar ka aangan KHali aankh mein aansu aae
jis ne ghar ke baghiche ko apne KHun se sincha
chhoD gaya jab is ka mali aankh mein aansu aae
'amjad' kaisi aag lagi hai lafzon ke pani mein
ujli ghazlen ho gain kali aankh mein aansu aae
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 206)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.