chhanw afsos daimi na rahi
chhāñv afsos dā.imī na rahī
dhuup kā kyā rahī rahī na rahī
aasrā chhin gayā hai jiine kā
aas thī jo rahī-sahī na rahī
ho gayā ḳhvāb phuul sā chehra
shāḳh-e-dil bhī harī-bharī na rahī
bah ga.e āñsuoñ ke dariyā meñ
aap kī baat yaad hī na rahī
ik udāsī thī raat thī ham the
aur phir hājat-e-ḳhushī na rahī
mashvara jas kā tas rahā lekin
mashvaroñ kī kabhī kamī na rahī
vāqi.a jo huā huā lekin
dāstāñ aap se juḌī na rahī
un ilāqoñ meñ kyā rahā sāhib
jin ilāqoñ meñ shā.erī na rahī
ik tamannā thī terī mahfil meñ
kyuuñ raheñ ham agar vahī na rahī
chhanw afsos daimi na rahi
dhup ka kya rahi rahi na rahi
aasra chhin gaya hai jine ka
aas thi jo rahi-sahi na rahi
ho gaya KHwab phul sa chehra
shaKH-e-dil bhi hari-bhari na rahi
bah gae aansuon ke dariya mein
aap ki baat yaad hi na rahi
ek udasi thi raat thi hum the
aur phir hajat-e-KHushi na rahi
mashwara jas ka tas raha lekin
mashwaron ki kabhi kami na rahi
waqia jo hua hua lekin
dastan aap se juDi na rahi
un ilaqon mein kya raha sahib
jin ilaqon mein shaeri na rahi
ek tamanna thi teri mahfil mein
kyun rahen hum agar wahi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.