chhanw mil jae to kam dam mein bik jati hai
chhāñv mil jaa.e to kam daam meñ bik jaatī hai
ab thakan thoḌe se ārām meñ bik jaatī hai
aap kyā mujh ko navāzeñge janāb-e-ālī
saltanat tak mire in.aam meñ bik jaatī hai
sher jaisā bhī ho is shahr meñ paḌh sakte ho
chaa.e jaisī bhī ho āsām meñ bik jaatī hai
vo siyāsat kā ilāqa hai udhar mat jaanā
aabrū kūcha-e-bad-nām meñ bik jaatī hai
chhanw mil jae to kam dam mein bik jati hai
ab thakan thoDe se aaram mein bik jati hai
aap kya mujh ko nawazenge janab-e-ali
saltanat tak mere inam mein bik jati hai
sher jaisa bhi ho is shahr mein paDh sakte ho
chae jaisi bhi ho aasam mein bik jati hai
wo siyasat ka ilaqa hai udhar mat jaana
aabru kucha-e-bad-nam mein bik jati hai
- Book : Shadaba (Pg. 45)
- Author : Munavar Rana
- Publication : Maktaba Al-faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.