chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai
chhātī jalā kare hai soz-e-darūñ balā hai
ik aag sī rahe hai kyā jāniye ki kyā hai
maiñ aur tū haiñ donoñ majbūr-e-taur apne
pesha tirā jafā hai sheva mirā vafā hai
rū-e-suḳhan hai kīdhar ahl-e-jahāñ kā yā rab
sab muttafiq haiñ is par har ek kā ḳhudā hai
kuchh be-sabab nahīñ hai ḳhātir mirī pareshāñ
dil kā alam judā hai ġham jaan kā judā hai
husn un bhī moīnoñ kā thā aap hī sūratoñ meñ
is martabe se aage koī chale to kyā hai
shādī se ġham-e-jahāñ meñ vo chand ham ne paayā
hai iid ek din to das roz yaañ dahā hai
hai ḳhasam-jān-e-āshiq vo mahv-e-nāz lekin
har lamha be-adā.ī ye bhī to ik adā hai
ho jaa.e yaas jis meñ so āshiqī hai varna
har ranj ko shifā hai har dard ko davā hai
nāyāb us guhar kī kyā hai talāsh āsāñ
jī Dūbtā hai us kā jo tah se āshnā hai
mushfiq malāz o qibla kaaba ḳhudā payambar
jis ḳhat meñ shauq se maiñ kyā kyā use likhā hai
tāsīr-e-ishq dekho vo naama vaañ pahuñch kar
juuñ kāġhaz-e-havā.ī har sū uḌā phirā hai
hai garche tifl-e-maktab vo shoḳh abhī to lekin
jis se milā hai us kā ustād ho milā hai
phirte ho 'mīr' sāhab sab se jude jude tum
shāyad kahīñ tumhārā dil in dinoñ lagā hai
chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai
ek aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai
main aur tu hain donon majbur-e-taur apne
pesha tera jafa hai shewa mera wafa hai
ru-e-suKHan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab
sab muttafiq hain is par har ek ka KHuda hai
kuchh be-sabab nahin hai KHatir meri pareshan
dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai
husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mein
is martabe se aage koi chale to kya hai
shadi se gham-e-jahan mein wo chand hum ne paya
hai id ek din to das roz yan daha hai
hai KHasam-jaan-e-ashiq wo mahw-e-naz lekin
har lamha be-adai ye bhi to ek ada hai
ho jae yas jis mein so aashiqi hai warna
har ranj ko shifa hai har dard ko dawa hai
nayab us guhar ki kya hai talash aasan
ji Dubta hai us ka jo tah se aashna hai
mushfiq malaz o qibla kaba KHuda payambar
jis KHat mein shauq se main kya kya use likha hai
tasir-e-ishq dekho wo nama wan pahunch kar
jun kaghaz-e-hawai har su uDa phira hai
hai garche tifl-e-maktab wo shoKH abhi to lekin
jis se mila hai us ka ustad ho mila hai
phirte ho 'mir' sahab sab se jude jude tum
shayad kahin tumhaara dil in dinon laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.