chhak gae hain aaj ek saghar se hum
chhak ga.e haiñ aaj ik sāġhar se ham
haath dho baiThe mai-e-kausar se ham
but-kade meñ jā ke us but kā pata
pūchhte phirte haiñ har patthar se ham
qasd-e-sahrā hai dil-e-vīrāñ ke saath
ik bayābāñ le chale haiñ ghar se ham
jab rag-e-jāñ se kamī kartā hai ḳhuun
chheḌ dete haiñ use nishtar se ham
kis qadar kaTtī hai rāh-e-shauq jald
tez chalte haiñ tire ḳhanjar se ham
kyā kaheñ kis se kaheñ kis ke liye
phirte haiñ chāroñ taraf muztar se ham
vo sitamgar rū-ba-rū hogā to 'dāġh'
kyā kaheñge dāvar-e-mahshar se ham
chhak gae hain aaj ek saghar se hum
hath dho baiThe mai-e-kausar se hum
but-kade mein ja ke us but ka pata
puchhte phirte hain har patthar se hum
qasd-e-sahra hai dil-e-viran ke sath
ek bayaban le chale hain ghar se hum
jab rag-e-jaan se kami karta hai KHun
chheD dete hain use nishtar se hum
kis qadar kaTti hai rah-e-shauq jald
tez chalte hain tere KHanjar se hum
kya kahen kis se kahen kis ke liye
phirte hain chaaron taraf muztar se hum
wo sitamgar ru-ba-ru hoga to 'dagh'
kya kahenge dawar-e-mahshar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.