Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhal-kapaT ki zindagi se KHud-kushi achchhi-bhali

Nitesh Kushwaha

chhal-kapaT ki zindagi se KHud-kushi achchhi-bhali

Nitesh Kushwaha

MORE BYNitesh Kushwaha

    chhal-kapaT zindagī se ḳhud-kushī achchhī-bhalī

    phir koī Thukrā rahā hai zindagī achchhī-bhalī

    tum ne dushman ke charāġhoñ ko kyoñ ghar meñ jagah

    is parā.ī raushnī se tīrgī achchhī-bhalī

    ik zarā ġham sarāpā toḌ detā hai unheñ

    jin ko ye lagtā hai duniyā dekh achchhī-bhalī

    saath meñ ho lunch tere desk apnī ek ho

    is se baḌh kar kyā milegī salary achchhī-bhalī

    paas to baiThā hai mere par mujh se duur hai

    tere yuuñ hone se thī terī kamī achchhī-bhalī

    chhal-kapaT ki zindagi se KHud-kushi achchhi-bhali

    phir koi Thukra raha hai zindagi achchhi-bhali

    tum ne dushman ke charaghon ko di kyon ghar mein jagah

    is parai raushni se tirgi achchhi-bhali

    ek zara sa gham sarapa toD deta hai unhen

    jin ko ye lagta hai duniya dekh li achchhi-bhali

    sath mein ho lunch tere desk apni ek ho

    is se baDh kar kya milegi salary achchhi-bhali

    pas to baiTha hai mere par tu mujh se dur hai

    tere yun hone se thi teri kami achchhi-bhali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now