chhan ke aati hai jo ye raushni darwaze se
chhan ke aatī hai jo ye raushnī darvāze se
kyā mujhe dekh rahā hai koī darvāze se
ghar kī taḳhtī se milā aaj mujhe apnā pata
apne hone kī gavāhī milī darvāze se
maiñ ne dahlīz se jaane kī ijāzat le lī
phir mirī baat na tai ho sakī darvāze se
ek rauzan meñ paḌī aañkh se khulne lage haiñ
ek dīvār ke andar ka.ī darvāze se
maiñ ne is ḳhvāb ko andar kahīñ mismār kiyā
merī āvāz na bāhar ga.ī darvāze se
raat bhar siskiyāñ letā hai koī shaḳhs yahāñ
kabhī dīvār se lag kar kabhī darvāze se
ḳhālī kamra mirā kis chaap se bhar jaatā hai
aatā jaatā hī nahīñ jab koī darvāze se
ek ḳhushbū ne qadam bhuul ke bāhar rakkhā
phir galī aañkh milāne lagī darvāze se
roz ik shahr-e-pur-asrār meñ kho jaatā huuñ
vahī galiyāñ vahī raste vahī darvāze se
tū ne mahtāb nikalte hue dekhā hai kabhī
aur mahtāb bhī aise kisī darvāze se
chhan ke aati hai jo ye raushni darwaze se
kya mujhe dekh raha hai koi darwaze se
ghar ki taKHti se mila aaj mujhe apna pata
apne hone ki gawahi mili darwaze se
main ne dahliz se jaane ki ijazat le li
phir meri baat na tai ho saki darwaze se
ek rauzan mein paDi aankh se khulne lage hain
ek diwar ke andar kai darwaze se
main ne is KHwab ko andar kahin mismar kiya
meri aawaz na bahar gai darwaze se
raat bhar siskiyan leta hai koi shaKHs yahan
kabhi diwar se lag kar kabhi darwaze se
KHali kamra mera kis chap se bhar jata hai
aata jata hi nahin jab koi darwaze se
ek KHushbu ne qadam bhul ke bahar rakkha
phir gali aankh milane lagi darwaze se
roz ek shahr-e-pur-asrar mein kho jata hun
wahi galiyan wahi raste wahi darwaze se
tu ne mahtab nikalte hue dekha hai kabhi
aur mahtab bhi aise kisi darwaze se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.