Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhaTe ghubar nazar baam-e-tur aa jae

Ghulam Rabbani Taban

chhaTe ghubar nazar baam-e-tur aa jae

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    chhaTe ġhubār nazar bām-e-tūr aa jaa.e

    piyo sharāb ki chehre pe nuur aa jaa.e

    uThāo jaam ba-nām-e-hayāt bāda-kasho

    nazāre jhūmeñ nazar ko surūr aa jaa.e

    sharāb-ḳhāne meñ kausar zikr kyā kahiye

    kisī aql meñ jaise futūr aa jaa.e

    tamām zohd-o-riyāzat ho ġharq-e-mauj-e-sharāb

    jo mai-kade meñ vo shaidā-e-hūr aa jaa.e

    maqām-e-dār se guzro to zindagī paao

    piyo jo zahr-e-halāhal surūr aa jaa.e

    nigāh tez nafas garm aarzū bebāk

    jise ho naaz hamāre huzūr aa jaa.e

    ye kārobār-e-mashiyyat bhī ḳhuub hai 'tābāñ'

    kisī pe barq gire zad pe tuur aa jaa.e

    chhaTe ghubar nazar baam-e-tur aa jae

    piyo sharab ki chehre pe nur aa jae

    uThao jam ba-nam-e-hayat baada-kasho

    nazare jhumen nazar ko surur aa jae

    sharab-KHane mein kausar ka zikr kya kahiye

    kisi ki aql mein jaise futur aa jae

    tamam zohd-o-riyazat ho gharq-e-mauj-e-sharab

    jo mai-kade mein wo shaida-e-hur aa jae

    maqam-e-dar se guzro to zindagi pao

    piyo jo zahr-e-halahal surur aa jae

    nigah tez nafas garm aarzu bebak

    jise ho naz hamare huzur aa jae

    ye karobar-e-mashiyyat bhi KHub hai 'taban'

    kisi pe barq gire zad pe tur aa jae

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-351 E-367)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now