chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi
chhatoñ pe aag rahī bām-o-dar pe dhuup rahī
sahar se shaam talak bahr-o-bar pe dhuup rahī
bahut dinoñ se jo bādal idhar nahīñ aa.e
daraḳht sūkhe rahe rahguzar pe dhuup rahī
kuchh aise vaqt pe nikle the apne ghar se ham
jahāñ jahāñ bhī ga.e apne sar pe dhuup rahī
ġhurūb ho gayā sūraj magar fazāoñ meñ
vahī tapish hai ki jaise nagar pe dhuup rahī
ravish ravish pe rahā āftāb kā saaya
jahān-e-ġhuncha-o-barg-o-samar pe dhuup rahī
araq araq hai jabīñ pairahan pasīna hai
bashar hī jaane ki kaisī bashar pe dhuup rahī
jahān-e-karb-o-balā ham ko yaad aayā hai
kuchh aisī ab ke hamāre nagar pe dhuup rahī
ravāñ-davāñ hameñ phirnā thā dasht-e-ġhurbat meñ
kabhī jo ghar meñ rahe haiñ to ghar pe dhuup rahī
usī parinde kī sūrat hameñ bhī jiinā thā
jo din ko uḌtā rahā bāl-o-par pe dhuup rahī
tamām din mujhe sūraj ke saath chalnā thā
mire sabab se mire ham-safar pe dhuup rahī
yahī to soch ke 'iqbāl' ko nadāmat hai
shajar ke saa.e meñ ham aur shajar pe dhuup rahī
chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi
sahar se sham talak bahr-o-bar pe dhup rahi
bahut dinon se jo baadal idhar nahin aae
daraKHt sukhe rahe rahguzar pe dhup rahi
kuchh aise waqt pe nikle the apne ghar se hum
jahan jahan bhi gae apne sar pe dhup rahi
ghurub ho gaya suraj magar fazaon mein
wahi tapish hai ki jaise nagar pe dhup rahi
rawish rawish pe raha aaftab ka saya
jahan-e-ghuncha-o-barg-o-samar pe dhup rahi
araq araq hai jabin pairahan pasina hai
bashar hi jaane ki kaisi bashar pe dhup rahi
jahan-e-karb-o-bala hum ko yaad aaya hai
kuchh aisi ab ke hamare nagar pe dhup rahi
rawan-dawan hamein phirna tha dasht-e-ghurbat mein
kabhi jo ghar mein rahe hain to ghar pe dhup rahi
usi parinde ki surat hamein bhi jina tha
jo din ko uDta raha baal-o-par pe dhup rahi
tamam din mujhe suraj ke sath chalna tha
mere sabab se mere ham-safar pe dhup rahi
yahi to soch ke 'iqbaal' ko nadamat hai
shajar ke sae mein hum aur shajar pe dhup rahi
- Book : Urdu-1983 (Pg. 127)
- Author : Nand Kishore Vikram
- Publication : Publisher & Advertisers J-6, Krishan Nagar, Delhi-110051 (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.