chheD ai dil ye kisi shoKH ke ruKHsaron se
chheḌ ai dil ye kisī shoḳh ke ruḳhsāroñ se
khelnā aah dahakte hue añgāroñ se
ham shab-e-hijr meñ jab sotī hai saarī duniyā
zikr karte haiñ tirā chhiTke hue tāroñ se
ashk bhar laa.e kisī ne jo tirā naam liyā
aur kyā hijr meñ hotā tire bīmāroñ se
chheḌ naġhma koī go dil kī shikasta haiñ rageñ
ham nikāleñge sadā TuuTe hue tāroñ se
ham ko terī hai zarūrat na ise bhuul ai dost
tere iqrāroñ se matlab hai na inkāroñ se
ham haiñ vo bekas-o-be-yār ki baiThe baiThe
apnā dukh-dard kahā karte haiñ dīvāroñ se
ahl-e-duniyā se ye kahte haiñ mire nāla-e-dil
ham sadā deñge ġham-e-hijr ke mīnāroñ se
ishq hamdardī-e-ālam kā ravādār nahīñ
ho ga.ī bhuul 'firāq' aap ke ġham-ḳhvāroñ se
chheD ai dil ye kisi shoKH ke ruKHsaron se
khelna aah dahakte hue angaron se
hum shab-e-hijr mein jab soti hai sari duniya
zikr karte hain tera chhiTke hue taron se
ashk bhar lae kisi ne jo tera nam liya
aur kya hijr mein hota tere bimaron se
chheD naghma koi go dil ki shikasta hain ragen
hum nikalenge sada TuTe hue taron se
hum ko teri hai zarurat na ise bhul ai dost
tere iqraron se matlab hai na inkaron se
hum hain wo bekas-o-be-yar ki baiThe baiThe
apna dukh-dard kaha karte hain diwaron se
ahl-e-duniya se ye kahte hain mere nala-e-dil
hum sada denge gham-e-hijr ke minaron se
ishq hamdardi-e-alam ka rawadar nahin
ho gai bhul 'firaq' aap ke gham-KHwaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.