chheD koi afsana koi git suna
chheḌ koī afsāna koī giit sunā
dil to pahle kuchh to mere miit sunā
kaise tū bach niklā maqtal se ye to batā
kaise badlī tere gaañv kī riit sunā
jaag uThe sannāTā aisā raag alaap
saath na de āvāz to phir sangīt sunā
kyā dekhā kyā merī maut kā manzar thā
kaise huā sapne meñ tū bhaibhīt sunā
chheD koi afsana koi git suna
dil to pahle kuchh to mere mit suna
kaise tu bach nikla maqtal se ye to bata
kaise badli tere ganw ki rit suna
jag uThe sannaTa aisa rag alap
sath na de aawaz to phir sangit suna
kya dekha kya meri maut ka manzar tha
kaise hua sapne mein tu bhaibhit suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.