chhiDa pahle-pahal jab saz-e-hasti
chhiḌā pahle-pahal jab sāz-e-hastī
to har parde ne dī āvāz-e-hastī
ḳhayāl-e-yār tere sadqe jā.ūñ
tire dam se hai soz-o-sāz-e-hastī
maiñ marne ke liye paidā huā huuñ
mirā anjām hai āġhāz-e-hastī
sukūn-e-kā.enāt-e-dil baqā hai
ajal ik jumbish-e-parvāz-e-hastī
mirī ḳhāk-e-sahar kā zarra zarra
hai 'bedam' maḳhzan-e-sad-rāz-e-hastī
chhiDa pahle-pahal jab saz-e-hasti
to har parde ne di aawaz-e-hasti
KHayal-e-yar tere sadqe jaun
tere dam se hai soz-o-saz-e-hasti
main marne ke liye paida hua hun
mera anjam hai aaghaz-e-hasti
sukun-e-kaenat-e-dil baqa hai
ajal ek jumbish-e-parwaz-e-hasti
meri KHak-e-sahar ka zarra zarra
hai 'bedam' maKHzan-e-sad-raaz-e-hasti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.