chhin gae KHud se tumhaare ho gae
chhin ga.e ḳhud se tumhāre ho ga.e
tum pe āshiq dil ke maare ho ga.e
kuchh din āvāra phire sayyāra-vār
rah ga.e tum par sitāre ho ga.e
tujh pe qurbāñ ai jamāl-e-ahd-e-soz
jis ke biyāhe bhī kuñvāre ho ga.e
kyā usī ko kahte haiñ rabt-e-dilī
chor dil ke jaañ se pyāre ho ga.e
ham the tere ḳhāksāroñ meñ shumār
hāsidoñ meñ chāñd-tāre ho ga.e
chaar nazreñ chaar bāteñ chaar din
ham tumhāre tum hamāre ho ga.e
ik nazar karne se terā kyā gayā
ahl-e-dil ke vāre-nyāre ho ga.e
kuchh to ḳhud dil pheñk the 'rāhīl' ham
kuchh udhar se bhī ishāre ho ga.e
chhin gae KHud se tumhaare ho gae
tum pe aashiq dil ke mare ho gae
kuchh din aawara phire sayyara-war
rah gae tum par sitare ho gae
tujh pe qurban ai jamal-e-ahd-e-soz
jis ke biyahe bhi kunware ho gae
kya usi ko kahte hain rabt-e-dili
chor dil ke jaan se pyare ho gae
hum the tere KHaksaron mein shumar
hasidon mein chand-tare ho gae
chaar nazren chaar baaten chaar din
hum tumhaare tum hamare ho gae
ek nazar karne se tera kya gaya
ahl-e-dil ke ware-nyare ho gae
kuchh to KHud dil phenk the 'rahil' hum
kuchh udhar se bhi ishaare ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.