chhoD apni dalil rahne de
chhoḌ apnī dalīl rahne de
dil ko merā vakīl rahne de
shahr-e-dil ko bachā na pā.egī
ek jānib fasīl rahne de
maiñ tire āsmāñ pe lahrā.ūñ
khīñch kar chhoḌ Dhiil rahne de
mashvara hai gumān-e-manzil kā
hai masāfat tavīl rahne de
faisle par ye faisla hai 'roz'
sāmnā kar appeal rahne de
chhoD apni dalil rahne de
dil ko mera wakil rahne de
shahr-e-dil ko bacha na paegi
ek jaanib fasil rahne de
main tere aasman pe lahraun
khinch kar chhoD Dhil rahne de
mashwara hai guman-e-manzil ka
hai masafat tawil rahne de
faisle par ye faisla hai 'roz'
samna kar appeal rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.