chhoD jaenge qafile wale
chhoḌ jā.eñge qāfile vaale
ham to haiñ peḌ rāste vaale
ḳhvāb pahlī azaan par TuuTā
ham the dariyā meñ kūdne vaale
dekh aayā huā hai āñkhoñ meñ
zahr kānoñ meñ gholne vaale
aap se apnā ik ta.alluq hai
ham nahīñ log vāste vaale
ik zamāna thā iid aane par
ham manāte the rūThne vaale
mujh ko taslīm kyuuñ nahīñ karte
merī tasvīr chūmne vaale
sharm se aap kī jhukī palkeñ
varna to ham the Dūbne vaale
har qadam phūñk phūñk rakhnā hai
deñ na deñ saath mashvare vaale
Dhiil dene se bach ga.e mahbūb
varna rishte the TūTne vaale
chhoD jaenge qafile wale
hum to hain peD raste wale
KHwab pahli azan par TuTa
hum the dariya mein kudne wale
dekh aaya hua hai aankhon mein
zahr kanon mein gholne wale
aap se apna ek talluq hai
hum nahin log waste wale
ek zamana tha id aane par
hum manate the ruThne wale
mujh ko taslim kyun nahin karte
meri taswir chumne wale
sharm se aap ki jhuki palken
warna to hum the Dubne wale
har qadam phunk phunk rakhna hai
den na den sath mashware wale
Dhil dene se bach gae mahbub
warna rishte the TuTne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.