chhoD kar kashanon ko tair gae
chhoḌ kar kāshānoñ ko taa.ir ga.e
roknā chāhā thā par kyūñkar ga.e
pata pata bhī uḌā kar le ga.ī
āñdhī ke ham-rah sabhī manzar ga.e
haañ vahī mausam thā aur ham bhī vahī
raah takte the jo vo be-ghar ga.e
barf thī kohrā bhī thā aur ḳhāmushī
dekh kar vo hādisa ham Dar ga.e
raushnī kā ek hayūlā saath thā
jo havā ke saath the ḳhanjar ga.e
chhoD kar kashanon ko tair gae
rokna chaha tha par kyunkar gae
pata pata bhi uDa kar le gai
aandhi ke ham-rah sabhi manzar gae
han wahi mausam tha aur hum bhi wahi
rah takte the jo wo be-ghar gae
barf thi kohra bhi tha aur KHamushi
dekh kar wo hadisa hum Dar gae
raushni ka ek hayula sath tha
jo hawa ke sath the KHanjar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.