chhoD kar mujhko chali ai bewafa main bhi to hun
chhoḌ kar mujh ko chalī ai bevafā maiñ bhī to huuñ
le ḳhabar merī bhī ai teġh-e-adā maiñ bhī to huuñ
pī rahe haiñ sab piyālī par piyālī bazm meñ
merī baarī bhī to aa.e sāqiyā maiñ bhī to huuñ
zikr jab hūr-o-parī kā sāmne un ke huā
pahle to sunte rahe vo phir kahā maiñ bhī to huuñ
duḳht-e-raz zāhid se bolī mujh se ghabrāte ho kyuuñ
kyā tumhīñ ho pāk-dāman pārsā maiñ bhī to huuñ
ḳhaas zāhid ke liye jannat to ho saktī nahīñ
āḳhir ik banda 'sharaf' allāh kā maiñ bhī to huuñ
chhoD kar mujh ko chali ai bewafa main bhi to hun
le KHabar meri bhi ai tegh-e-ada main bhi to hun
pi rahe hain sab piyali par piyali bazm mein
meri bari bhi to aae saqiya main bhi to hun
zikr jab hur-o-pari ka samne un ke hua
pahle to sunte rahe wo phir kaha main bhi to hun
duKHt-e-raz zahid se boli mujh se ghabraate ho kyun
kya tumhin ho pak-daman parsa main bhi to hun
KHas zahid ke liye jannat to ho sakti nahin
aaKHir ek banda 'sharaf' allah ka main bhi to hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.