chhoD ummid use ab nahin aana shayad
chhoḌ ummīd use ab nahīñ aanā shāyad
aanā bhī hai to nahīñ ham ko batānā shāyad
sabr aayā hai hameñ ashk-fishānī se hī
mil hī jaa.e koī us ko bhī bahāna shāyad
us ne achchhā hī kiyā bin mujhe batlā.e gayā
jaan le letā mirī us kā yuuñ jaanā shāyad
un kā apnā bhī jo jā.egā binā batlā.e
tab is ehsās ko samjhegā zamāna shāyad
vo ek din aa.egā dariyā ke kināre 'māham'
tab mirī pyaas ko samjhegā zamāna shāyad
chhoD ummid use ab nahin aana shayad
aana bhi hai to nahin hum ko batana shayad
sabr aaya hai hamein ashk-fishani se hi
mil hi jae koi us ko bhi bahana shayad
us ne achchha hi kiya bin mujhe batlae gaya
jaan le leta meri us ka yun jaana shayad
un ka apna bhi jo jaega bina batlae
tab is ehsas ko samjhega zamana shayad
wo ek din aaega dariya ke kinare 'maham'
tab meri pyas ko samjhega zamana shayad
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.