chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua
chhoḌā na tujhe ne raam kyā ye bhī na huā vo bhī na huā
ham se to but-e-kāfir ba-ḳhudā ye bhī na huā vo bhī na huā
afsos 'adam se aa ke kiyā kyā ham ne gulshan-e-hastī meñ
juuñ shabnam-o-gul royā na hañsā ye bhī na huā vo bhī na huā
us ā.īna-rū ke vasl meñ bhī mushtāq-e-bos-o-kanār rahe
ai ālam-e-hairat tere sivā ye bhī na huā vo bhī na huā
dil kū-e-butāñ meñ jā baiThā dam ḳhāna-e-tan ko chhoḌ gayā
haif āḳhir-e-kār rafīq apnā ye bhī na huā vo bhī na huā
yā bahr-e-tavāf-e-ka.aba ga.e yā mo.atakif-e-but-ḳhāna hue
kyā shaiḳh o brahman ham ne kiyā ye bhī na huā vo bhī na huā
ai qāsid-e-ashk o paik-e-sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā
tum kyā karo haañ qismat kā likhā ye bhī na huā vo bhī na huā
kheñch us ko na laayā jazba-e-dil tāsīr na kuchh naale hī ne kī
maiñ donoñ kā bas shākī hī rahā ye bhī na huā vo bhī na huā
us lab kā liyā bosa na kabhū haihāt na lipTā paañv se
dil tujh se ba-rañg-e-pān-o-hinā ye bhī na huā vo bhī na huā
majnūñ to phirā jangal jangal farhād ne chīrā koh-e-dilā
maiñ aah rahā be-dast-o-pā ye bhī na huā vo bhī na huā
din ko bhī na dekhā ham ne use shab ḳhvāb meñ bhī yaaro na milā
is tāla-e-ḳhufta kā hove burā ye bhī na huā vo bhī na huā
nazdīk 'nasīr' apne āsāñ farmā.ish thī goyā ye ġhazal
kuchh us kā bhī kahnā mushkil thā ye bhī na huā vo bhī na huā
chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua
hum se to but-e-kafir ba-KHuda ye bhi na hua wo bhi na hua
afsos 'adam se aa ke kiya kya hum ne gulshan-e-hasti mein
jun shabnam-o-gul roya na hansa ye bhi na hua wo bhi na hua
us aaina-ru ke wasl mein bhi mushtaq-e-bos-o-kanar rahe
ai aalam-e-hairat tere siwa ye bhi na hua wo bhi na hua
dil ku-e-butan mein ja baiTha dam KHana-e-tan ko chhoD gaya
haif aaKHir-e-kar rafiq apna ye bhi na hua wo bhi na hua
ya bahr-e-tawaf-e-kaba gae ya moatakif-e-but-KHana hue
kya shaiKH o brahman hum ne kiya ye bhi na hua wo bhi na hua
ai qasid-e-ashk o paik-e-saba us tak na payam-o-KHat pahuncha
tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua
khench us ko na laya jazba-e-dil tasir na kuchh nale hi ne ki
main donon ka bas shaki hi raha ye bhi na hua wo bhi na hua
us lab ka liya bosa na kabhu haihat na lipTa panw se
dil tujh se ba-rang-e-pan-o-hina ye bhi na hua wo bhi na hua
majnun to phira jangal jangal farhad ne chira koh-e-dila
main aah raha be-dast-o-pa ye bhi na hua wo bhi na hua
din ko bhi na dekha hum ne use shab KHwab mein bhi yaro na mila
is tala-e-KHufta ka howe bura ye bhi na hua wo bhi na hua
nazdik 'nasir' apne aasan farmaish thi goya ye ghazal
kuchh us ka bhi kahna mushkil tha ye bhi na hua wo bhi na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.