chhoDiye kis tarah se mai-noshi
chhoḌiye kis tarah se mai-noshī
zor-e-ālam rakhe hai be-hoshī
ik nazar us ko dekhne paa.eñ
go mayassar na ho ham-āġhoshī
qaid karnā kisī ko hai manzūr
zulf kartī hai tujh se sargoshī
huuñ maiñ sar-gashta misl-e-reg-e-ravāñ
kyā kahūñ apnī ḳhāna-bardoshī
vasf meñ us dahan ke ai 'joshish'
ham ne kī iḳhtiyār ḳhāmoshī
chhoDiye kis tarah se mai-noshi
zor-e-alam rakhe hai be-hoshi
ek nazar us ko dekhne paen
go mayassar na ho ham-aghoshi
qaid karna kisi ko hai manzur
zulf karti hai tujh se sargoshi
hun main sar-gashta misl-e-reg-e-rawan
kya kahun apni KHana-bardoshi
wasf mein us dahan ke ai 'joshish'
hum ne ki iKHtiyar KHamoshi
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.