chhoTi chhoTi baaton par tum KHub tamasha karti ho
chhoTī chhoTī bātoñ par tum ḳhuub tamāshā kartī ho
tum ko dekh ke kaun kahegā ik munsif kī beTī ho
ye bhī ik kāran thā tum se apne raaz chhupāne kā
chāhe jitnā samjhāo tum duniyā se kah detī ho
vaqt ke rahte bag meñ tum ne apne kapḌe rakkhe na.iiñ
gaaḌī chhūT rahī hai ab kyuuñ dekh ke mujh ko rotī ho
duniyā kyā kyā soch rahī hai ham donoñ ke baare meñ
maiñ kis kis ko batlā.ūñ tum jaldī se so jaatī ho
Tokā-Tākī bas ik had tak Thiik natīja detī hai
bachcha bigaḌtā hai gar us pe be-matlab kī saḳhtī ho
chhoTi chhoTi baaton par tum KHub tamasha karti ho
tum ko dekh ke kaun kahega ek munsif ki beTi ho
ye bhi ek karan tha tum se apne raaz chhupane ka
chahe jitna samjhao tum duniya se kah deti ho
waqt ke rahte bag mein tum ne apne kapDe rakkhe nain
gaDi chhuT rahi hai ab kyun dekh ke mujh ko roti ho
duniya kya kya soch rahi hai hum donon ke bare mein
main kis kis ko batlaun tum jaldi se so jati ho
Toka-Taki bas ek had tak Thik natija deti hai
bachcha bigaDta hai gar us pe be-matlab ki saKHti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.