chhoTi si be-ruKHi pe shikayat ki baat hai
chhoTī sī be-ruḳhī pe shikāyat kī baat hai
aur vo bhī is liye ki mohabbat kī baat hai
maiñ ne kahā ki aa.e ho kitne dinoñ ke ba.ad
kahne lage huzūr ye fursat kī baat hai
maiñ ne kahā kī mil ke bhī ham kyuuñ na mil sake
kahne lage huzūr ye qismat kī baat hai
maiñ ne kahā ki rahte ho har baat par ḳhafā
kahne lage huzūr ye qurbat kī baat hai
maiñ ne kahā ki dete haiñ dil tum bhī laao dil
kahne lage ki ye to tijārat kī baat hai
maiñ ne kahā kabhī hai sitam aur kabhī karam
kahne lage ki ye to tabī.at kī baat hai
chhoTi si be-ruKHi pe shikayat ki baat hai
aur wo bhi is liye ki mohabbat ki baat hai
main ne kaha ki aae ho kitne dinon ke baad
kahne lage huzur ye fursat ki baat hai
main ne kaha ki mil ke bhi hum kyun na mil sake
kahne lage huzur ye qismat ki baat hai
main ne kaha ki rahte ho har baat par KHafa
kahne lage huzur ye qurbat ki baat hai
main ne kaha ki dete hain dil tum bhi lao dil
kahne lage ki ye to tijarat ki baat hai
main ne kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
kahne lage ki ye to tabiat ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.