chhup-chhup ke phir nigah-e-karam kar raha hai kaun
chhup-chhup ke phir nigah-e-karam kar raha hai kaun
Jarrar Chhaulisi
MORE BYJarrar Chhaulisi
chhup-chhup ke phir nigāh-e-karam kar rahā hai kaun
āñkhoñ meñ ashk bād-e-sitam bhar rahā hai kaun
marnā rah-e-vafā meñ hai ḳhud mustaqil hayāt
marne kī aarzū thī magar mar rahā hai kaun
manzil pe aa ke ḳhud mujhe honā paḌā tabāh
mahv-e-nazar farebī-e-rahbar rahā hai kaun
achchhā huā jo shahr-e-tamannā ujaḌ gayā
ḳhud is dayār-e-shauq meñ aa kar rahā hai kaun
'jarrār' har qadam pe mile haiñ suḳhan-farosh
is daur-e-ḳhud-ġharaz meñ suḳhanvar rahā hai kaun
chhup-chhup ke phir nigah-e-karam kar raha hai kaun
aankhon mein ashk baad-e-sitam bhar raha hai kaun
marna rah-e-wafa mein hai KHud mustaqil hayat
marne ki aarzu thi magar mar raha hai kaun
manzil pe aa ke KHud mujhe hona paDa tabah
mahw-e-nazar farebi-e-rahbar raha hai kaun
achchha hua jo shahr-e-tamanna ujaD gaya
KHud is dayar-e-shauq mein aa kar raha hai kaun
'jarrar' har qadam pe mile hain suKHan-farosh
is daur-e-KHud-gharaz mein suKHanwar raha hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.