chhup-chhup ke tere hijr mein rona tha hamara
chhup-chhup ke tire hijr meñ ronā thā hamārā
ye haal kisī roz to honā thā hamārā
kar baiThe haiñ chuur us ko ye bahte hue lamhe
dil vaqt ke hāthoñ meñ khilaunā thā hamārā
mallāh banā thā to adā farz bhī kartā
kyā tū ne safīna hī Dubonā thā hamārā
phir ye ki har ik samt hī ugne lage ḳhanjar
ik qatra-e-ḳhūñ dostoñ baunā thā hamārā
us ne bhī uThānā thā alam zulm-o-sitam kā
neze meñ jigar us ne pironā thā hamārā
majbūri-e-hālāt kī sab baat hai varna
pītal ke jo bhaav bikā sonā thā hamārā
mīnār se kartā thā vo paimā.isheñ 'ayyāz'
qad itnā to lā-raib na baunā thā hamārā
chhup-chhup ke tere hijr mein rona tha hamara
ye haal kisi roz to hona tha hamara
kar baiThe hain chur us ko ye bahte hue lamhe
dil waqt ke hathon mein khilauna tha hamara
mallah bana tha to ada farz bhi karta
kya tu ne safina hi Dubona tha hamara
phir ye ki har ek samt hi ugne lage KHanjar
ek qatra-e-KHun doston bauna tha hamara
us ne bhi uThana tha alam zulm-o-sitam ka
neze mein jigar us ne pirona tha hamara
majburi-e-haalat ki sab baat hai warna
pital ke jo bhaw bika sona tha hamara
minar se karta tha wo paimaishen 'ayyaz'
qad itna to la-raib na bauna tha hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.