chhup gaya yar KHud-numa ho kar
chhup gayā yaar ḳhud-numā ho kar
rah ga.ī chashm-e-shauq vā ho kar
be-qarāroñ se un ko sharm aa.ī
shoḳhiyāñ rah ga.iiñ hayā ho kar
kyā kahūñ kyā hai mere dil kī ḳhushī
tum chale jāoge ḳhafā ho kar
ruuTh kar un se ham kahāñ jīteñ
vo manā lete haiñ ḳhafā ho kar
phañs gayā dil to chhoḌ do ham ko
ab kahāñ jā.eñge rihā ho kar
dil se kuchh kah rahī haiñ vo āñkheñ
dekheñ kyā Thahre mashvarā ho kar
haath uThā kar talāsh-e-dil se 'hasan'
baiTh rahiye shikasta-pā ho kar
chhup gaya yar KHud-numa ho kar
rah gai chashm-e-shauq wa ho kar
be-qararon se un ko sharm aai
shoKHiyan rah gain haya ho kar
kya kahun kya hai mere dil ki KHushi
tum chale jaoge KHafa ho kar
ruTh kar un se hum kahan jiten
wo mana lete hain KHafa ho kar
phans gaya dil to chhoD do hum ko
ab kahan jaenge riha ho kar
dil se kuchh kah rahi hain wo aankhen
dekhen kya Thahre mashwara ho kar
hath uTha kar talash-e-dil se 'hasan'
baiTh rahiye shikasta-pa ho kar
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 132)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.