chhupaen kis tarah aankhen chamak mohabbat ki
chhupā.eñ kis tarah āñkheñ chamak mohabbat kī
in ā.inoñ meñ hai har dam jhalak mohabbat kī
dhaḌak rahī hai koī yaad surḳh phūloñ meñ
jhapak rahī hai diloñ meñ palak mohabbat kī
ajiib rañg kisī kī nazar se chhiTke haiñ
badan meñ phail rahī hai dhanak mohabbat kī
har ek shāḳh pe khilne lage bahār meñ phuul
har ek dil meñ uThī hai kasak mohabbat kī
dikhā.ī detā hai ik aks chāñd tāroñ meñ
sajātā rahtā hai rāheñ falak mohabbat kī
hasīn hote haiñ din ḳhvāb se lapeTe hue
gulāb kartī haiñ rāteñ mahak mohabbat kī
ka.ī dinoñ se mujhe 'nāz' aisā lagtā hai
qarār le ga.ī jaise lapak mohabbat kī
chhupaen kis tarah aankhen chamak mohabbat ki
in aainon mein hai har dam jhalak mohabbat ki
dhaDak rahi hai koi yaad surKH phulon mein
jhapak rahi hai dilon mein palak mohabbat ki
ajib rang kisi ki nazar se chhiTke hain
badan mein phail rahi hai dhanak mohabbat ki
har ek shaKH pe khilne lage bahaar mein phul
har ek dil mein uThi hai kasak mohabbat ki
dikhai deta hai ek aks chand taron mein
sajata rahta hai rahen falak mohabbat ki
hasin hote hain din KHwab se lapeTe hue
gulab karti hain raaten mahak mohabbat ki
kai dinon se mujhe 'naz' aisa lagta hai
qarar le gai jaise lapak mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.