chhu sukun tujhko ye auqat kabhi to hogi
chhū sukūñ tujh ko ye auqāt kabhī to hogī
aur mayassar bhī tirī zaat kabhī to hogī
chāñd ke saath meñ jo chhat pe kabhī guzregī
saath tum aur vo hasīñ raat kabhī to hogī
ek muddat se yahī aas liye baiThā huuñ
tujh meñ bhī shiddat-e-jazbāt kabhī to hogī
hijr-e-jānāñ meñ bhī aañsū nahīñ aa.e mere
ḳhushk sahrāoñ meñ barsāt kabhī to hogī
jugnuoñ kā to koī kaam ujāloñ meñ nahīñ
in se raushan shab-e-zulmāt kabhī to hogī
is liye ḳhatm kahānī nahīñ hone detā
us ke qisse meñ mirī baat kabhī to hogī
chhu sukun tujh ko ye auqat kabhi to hogi
aur mayassar bhi teri zat kabhi to hogi
chand ke sath mein jo chhat pe kabhi guzregi
sath tum aur wo hasin raat kabhi to hogi
ek muddat se yahi aas liye baiTha hun
tujh mein bhi shiddat-e-jazbaat kabhi to hogi
hijr-e-jaanan mein bhi aansu nahin aae mere
KHushk sahraon mein barsat kabhi to hogi
jugnuon ka to koi kaam ujalon mein nahin
in se raushan shab-e-zulmat kabhi to hogi
is liye KHatm kahani nahin hone deta
us ke qisse mein meri baat kabhi to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.