chiKHte hain dar-o-diwar nahin hota main
chīḳhte haiñ dar-o-dīvār nahīñ hotā maiñ
aañkh khulne pe bhī bedār nahīñ hotā maiñ
ḳhvāb karnā ho safar karnā ho yā ronā ho
mujh meñ ḳhūbī hai bezār nahīñ hotā meñ
ab bhalā apne liye banñā sañvarnā kaisā
ḳhud se milnā ho to tayyār nahīñ hotā maiñ
kaun aa.egā bhalā merī ayādat ke liye
bas isī ḳhauf se bīmār nahīñ hotā maiñ
manzil-e-ishq pe niklā to kahā raste ne
har kisī ke liye hamvār nahīñ hotā maiñ
terī tasvīr se taskīn nahīñ hotī mujhe
terī āvāz se sarshār nahīñ hotā maiñ
log kahte haiñ maiñ bārish kī tarah huuñ 'hāfī'
aksar auqāt lagātār nahīñ hotā maiñ
chiKHte hain dar-o-diwar nahin hota main
aankh khulne pe bhi bedar nahin hota main
KHwab karna ho safar karna ho ya rona ho
mujh mein KHubi hai bezar nahin hota mein
ab bhala apne liye banna sanwarna kaisa
KHud se milna ho to tayyar nahin hota main
kaun aaega bhala meri ayaadat ke liye
bas isi KHauf se bimar nahin hota main
manzil-e-ishq pe nikla to kaha raste ne
har kisi ke liye hamwar nahin hota main
teri taswir se taskin nahin hoti mujhe
teri aawaz se sarshaar nahin hota main
log kahte hain main barish ki tarah hun 'hafi'
aksar auqat lagatar nahin hota main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.