jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
jitnī burī kahī jaatī hai utnī burī nahīñ hai duniyā
bachchoñ ke schōl meñ shāyad tum se milī nahīñ hai duniyā
chaar gharoñ ke ek mohalle ke bāhar bhī hai ābādī
jaisī tumheñ dikhā.ī dī hai sab kī vahī nahīñ hai duniyā
ghar meñ hī mat use sajāo idhar udhar bhī le ke jaao
yuuñ lagtā hai jaise tum se ab tak khulī nahīñ hai duniyā
bhaag rahī hai geñd ke pīchhe jaag rahī hai chāñd ke nīche
shor bhare kaale na.aroñ se ab tak Darī nahīñ hai duniyā
jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
bachchon ke school mein shayad tum se mili nahin hai duniya
chaar gharon ke ek mohalle ke bahar bhi hai aabaadi
jaisi tumhein dikhai di hai sab ki wahi nahin hai duniya
ghar mein hi mat use sajao idhar udhar bhi le ke jao
yun lagta hai jaise tum se ab tak khuli nahin hai duniya
bhag rahi hai gend ke pichhe jag rahi hai chand ke niche
shor bhare kale naron se ab tak Dari nahin hai duniya
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 485)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.