Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

Akhlaque Bandvi

idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

Akhlaque Bandvi

MORE BYAkhlaque Bandvi

    idhar charāġh jal ga.e udhar charāġh jal ga.e

    jidhar jidhar uThī tirī nazar charāġh jal ga.e

    ye aur baat raat bhar tai na kar sake safar

    magar ye kam nahīñ ki vaqt par charāġh jal ga.e

    havā aisā zor thā ki ik balā shor thā

    isī fazā meñ jo the bā-hunar charāġh jal ga.e

    hai baat yuuñ to raat magar na ehtiyāt

    to kyā karoge daf.atan agar charāġh jal ga.e

    jo saath sub.h se chale vo saare log din Dhale

    usī taraf ko ho liye jidhar charāġh jal ga.e

    vo tīrgī jaal thā ki ab safar muhāl thā

    huā ye tere naam asar charāġh jal ga.e

    idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

    jidhar jidhar uThi teri nazar charagh jal gae

    ye aur baat raat bhar ka tai na kar sake safar

    magar ye kam nahin ki waqt par charagh jal gae

    hawa ka aisa zor tha ki ek bala ka shor tha

    isi faza mein jo the ba-hunar charagh jal gae

    hai baat yun to raat ki magar na ehtiyat ki

    to kya karoge dafatan agar charagh jal gae

    jo sath subh se chale wo sare log din Dhale

    usi taraf ko ho liye jidhar charagh jal gae

    wo tirgi ka jal tha ki ab safar muhaal tha

    hua ye tere nam ka asar charagh jal gae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now