chitwan durust sean baja baaten Thik-Thik
chitvan durust sean bajā bāteñ Thīk-Thīk
nāz-o-adā kī us meñ haiñ sab bāteñ Thīk-Thīk
kyā dil ko achchhī lagtī haiñ in ḳhush-qadoñ kī aah
ye pyārī pyārī boliyāñ ye gāteñ Thīk-Thīk
muñh meñ tamāñche chhātī meñ ghūñsa kamar meñ laat
kyā kyā huiiñ ye mujh pe ināyāteñ Thīk-Thīk
mauqa.a se bosa mauqa.a se gaalī bhī ham ko dī
kī shoḳh ne ye donoñ madārāteñ Thīk-Thīk
jab dostī meñ qaul ke puure hoñ donoñ shaḳhs
hotī haiñ phir to kyā hī mulāqāteñ Thīk-Thīk
jab ban paḌī to shaiḳh-jī shaiḳhī na māreñ kyā
ham se bhī phir to hoveñ karāmāteñ Thīk-Thīk
sach hai ba-qaul-e-hazrat-e-sayyad 'nazīr' aah
ban aatī haiñ to hotī haiñ sab bāteñ Thīk-Thīk
chitwan durust sean baja baaten Thik-Thik
naz-o-ada ki us mein hain sab baaten Thik-Thik
kya dil ko achchhi lagti hain in KHush-qadon ki aah
ye pyari pyari boliyan ye gaten Thik-Thik
munh mein tamanche chhati mein ghunsa kamar mein lat
kya kya huin ye mujh pe inayaten Thik-Thik
mauqa se bosa mauqa se gali bhi hum ko di
ki shoKH ne ye donon madaraaten Thik-Thik
jab dosti mein qaul ke pure hon donon shaKHs
hoti hain phir to kya hi mulaqaten Thik-Thik
jab ban paDi to shaiKH-ji shaiKHi na maren kya
hum se bhi phir to howen karamaten Thik-Thik
sach hai ba-qaul-e-hazrat-e-sayyad 'nazir' aah
ban aati hain to hoti hain sab baaten Thik-Thik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.