chori kaisi bhi ho ye lat bhi buri hoti hai
chorī kaisī bhī ho ye lat bhī burī hotī hai
dil churā lene kī aadat bhī burī hotī hai
achchhī aadat kā nafā log uThā lete haiñ
had se ziyāda to sharāfat bhī burī hotī hai
ye zamāna baḌā nāzuk hai sambhal kar chaliye
jān-e-man itnī nazākat bhī burī hotī hai
ḳhuub shah detī hai ye aur gunah karne ko
kyā ḳhudā aap kī rahmat bhī burī hotī hai
dilbaroñ ko hai ye milne kā sunahrī mauqa.a
kaun kahtā hai qayāmat bhī burī hotī hai
pyaar kī suuī bhī chubhtī hai rafū karne meñ
chāk-e-dil kī to marammat bhī burī hotī hai
pursish-e-hāl ko aa.e haiñ vo ġham de ke mujhe
kaise kah deñ ki ayādat bhī burī hotī hai
konā haath aa.e to pallū ko pakaḌ lete haiñ log
thoḌī anjānī ijāzat bhī burī hotī hai
aañch aa.e jo usūloñ pe to saudā kaisā
yuuñ usūloñ kī tijārat bhī burī hotī hai
us ne 'sāhil' tumheñ dīvāna banā rakkhā hai
haa.e kambaḳht mohabbat bhī burī hotī hai
chori kaisi bhi ho ye lat bhi buri hoti hai
dil chura lene ki aadat bhi buri hoti hai
achchhi aadat ka nafa log uTha lete hain
had se ziyaada to sharafat bhi buri hoti hai
ye zamana baDa nazuk hai sambhal kar chaliye
jaan-e-man itni nazakat bhi buri hoti hai
KHub shah deti hai ye aur gunah karne ko
kya KHuda aap ki rahmat bhi buri hoti hai
dilbaron ko hai ye milne ka sunahri mauqa
kaun kahta hai qayamat bhi buri hoti hai
pyar ki sui bhi chubhti hai rafu karne mein
chaak-e-dil ki to marammat bhi buri hoti hai
pursish-e-haal ko aae hain wo gham de ke mujhe
kaise kah den ki ayaadat bhi buri hoti hai
kona hath aae to pallu ko pakaD lete hain log
thoDi anjaani ijazat bhi buri hoti hai
aanch aae jo usulon pe to sauda kaisa
yun usulon ki tijarat bhi buri hoti hai
us ne 'sahil' tumhein diwana bana rakkha hai
hae kambaKHt mohabbat bhi buri hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.