chori se do ghaDi jo nazare hue to kya
chorī se do ghaḌī jo nazāre hue to kyā
chilman to biich meñ hai ishāre hue to kyā
bosa-dahī kā lutf milā husn baḌh gayā
ruḳhsār laal laal tumhāre hue to kyā
be-parda muñh dikhā ke mire hosh uḌaao tum
parde kī aaḌ se jo nazāre hue to kyā
mujh ko kuḌhā kuḌhā ke vo māreñge jaan se
dilbar hue to kyā mire pyāre hue to kyā
ai jaañ muqābla mire hāthoñ se kab huā
joban tire ubhar ke karāre hue to kyā
ulfat kā lutf kyā jo baġhal hī na garm ho
vo dil meñ rahne vaale hamāre hue to kyā
tāsīr de du'ā meñ ḳhudā hai yahī du'ā
ūñche jo donoñ haath hamāre hue to kyā
bosa na de vo mujh ko to maiñ is ko dil na duuñ
is gore haath se jo ishāre hue to kyā
tum so.o phail ke phūloñ kī sej par
furqat meñ ham jo gor kināre hue to kyā
siina milā ke siina se dil meñ jagah karo
phirte ho jaubanoñ ko ubhāre hue to kyā
kab khelne pakaḌ ke havā meñ se laa.e vo
jugnū jo aah dil ke sharāre hue to kyā
ai jaañ hai terī zulf-e-pareshāñ kā husn aur
hūroñ ke baal haiñ jo sañvāre hue to kyā
āñkheñ khulī bhī huuñ to vahī sāmne rahe
āñkhoñ ko band kar ke nazāre hue to kyā
lākhoñ maze mileñ mire lab se agar mileñ
vo gore gaal aañkh ke taare hue to kyā
yak bosa aur luñgā araq muñh se pūchh kar
vo aab aab sharm ke maare hue to kyā
'mā.il' na ho visāl to kyā 'ishq kā mazā
mā'shūq duur se vo hamāre hue to kyā
chori se do ghaDi jo nazare hue to kya
chilman to bich mein hai ishaare hue to kya
bosa-dahi ka lutf mila husn baDh gaya
ruKHsar lal lal tumhaare hue to kya
be-parda munh dikha ke mere hosh uDao tum
parde ki aaD se jo nazare hue to kya
mujh ko kuDha kuDha ke wo marenge jaan se
dilbar hue to kya mere pyare hue to kya
ai jaan muqabla mere hathon se kab hua
joban tere ubhar ke karare hue to kya
ulfat ka lutf kya jo baghal hi na garm ho
wo dil mein rahne wale hamare hue to kya
tasir de du'a mein KHuda hai yahi du'a
unche jo donon hath hamare hue to kya
bosa na de wo mujh ko to main is ko dil na dun
is gore hath se jo ishaare hue to kya
tum soo phail ke phulon ki sej par
furqat mein hum jo gor kinare hue to kya
sina mila ke sina se dil mein jagah karo
phirte ho jaubanon ko ubhaare hue to kya
kab khelne pakaD ke hawa mein se lae wo
jugnu jo aah dil ke sharare hue to kya
ai jaan hai teri zulf-e-pareshan ka husn aur
huron ke baal hain jo sanware hue to kya
aankhen khuli bhi hun to wahi samne rahe
aankhon ko band kar ke nazare hue to kya
lakhon maze milen mere lab se agar milen
wo gore gal aankh ke tare hue to kya
yak bosa aur lunga araq munh se puchh kar
wo aab aab sharm ke mare hue to kya
'mail' na ho visal to kya 'ishq ka maza
ma'shuq dur se wo hamare hue to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.