Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chubhe jab dil mein Khaar-e-‘ishq phir kamtar nikalte hain

Aafaq Banarasi

chubhe jab dil mein Khaar-e-‘ishq phir kamtar nikalte hain

Aafaq Banarasi

MORE BYAafaq Banarasi

    chubhe jab dil meñ ḳhār-e-‘ishq phir kamtar nikalte haiñ

    nikalte haiñ agar to jaan le kar nikalte haiñ

    tire nāvak jo siine meñ kabhī chubh kar nikalte haiñ

    to ban kar ḳhuun armān-e-dil-e-muztar nikalte haiñ

    kidhar qasd hai kis muqaddar aaj jaagā hai

    talab hotā hai shāna aa.ina zevar nikalte haiñ

    tumhārā tiir rasta rok kar siine meñ baiThā hai

    jo naale bhī nikalte haiñ to ruk-ruk kar nikalte haiñ

    vo kahte haiñ ajal hotī hai jis ham pe martā hai

    qazā aatī hai jab chyūñTī us ke par nikalte haiñ

    hasīnoñ ko jo dekho shakl kaisī bholī hotī hai

    TaTolo dil agar un ke to vo patthar nikalte haiñ

    lagā garmī-e-ulfat ne kaisī aag siine meñ

    ki āñkhoñ se jo aañsū jagah aḳhgar nikalte haiñ

    koī dekhe zarā 'āfāq' us vaqt kaifiyyat

    kabhī hazrat jo sahbā-e-suḳhan kar nikalte haiñ

    chubhe jab dil mein KHar-e-‘ishq phir kamtar nikalte hain

    nikalte hain agar to jaan hi le kar nikalte hain

    tere nawak jo sine mein kabhi chubh kar nikalte hain

    to ban kar KHun arman-e-dil-e-muztar nikalte hain

    kidhar ka qasd hai kis ka muqaddar aaj jaga hai

    talab hota hai shana aaina zewar nikalte hain

    tumhaara tir rasta rok kar sine mein baiTha hai

    jo nale bhi nikalte hain to ruk-ruk kar nikalte hain

    wo kahte hain ajal hoti hai jis ki hum pe marta hai

    qaza aati hai jab chyunTi ki us ke par nikalte hain

    hasinon ko jo dekho shakl kaisi bholi hoti hai

    TaTolo dil agar un ke to wo patthar nikalte hain

    laga di garmi-e-ulfat ne kaisi aag sine mein

    ki aankhon se jo aansu ki jagah aKHgar nikalte hain

    koi dekhe zara 'afaq' ki us waqt kaifiyyat

    kabhi hazrat jo sahba-e-suKHan pi kar nikalte hain

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 59)
    • Author :Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now