Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup bhi ho bak raha hai kya waiz

Ameer Minai

chup bhi ho bak raha hai kya waiz

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    chup bhī ho bak rahā hai kyā vaa.iz

    maġhz rindoñ khā gayā vaa.iz

    tere kahne se riñd jā.eñge

    ye to hai ḳhāna-e-ḳhudā vaa.iz

    allāh allāh ye kibr aur ye ġhurūr

    kyā ḳhudā hai dūsrā vaa.iz

    be-ḳhatā mai-kashoñ pe chashm-e-ġhazab

    hashr hone de dekhnā vaa.iz

    ham haiñ qaht-e-sharāb se bīmār

    kis maraz hai davā vaa.iz

    rah chukā mai-kade meñ saarī umr

    kabhī mai-ḳhāne meñ bhī aa vaa.iz

    hajv-e-mai kar rahā thā mimbar par

    ham jo pahuñche to gayā vaa.iz

    duḳht-e-raz ko burā mire aage

    phir na kahnā kabhī sunā vaa.iz

    aaj kartā huuñ vasf-e-mai maiñ 'amīr'

    dekhūñ kahtā hai is meñ kyā vaa.iz

    chup bhi ho bak raha hai kya waiz

    maghz rindon ka kha gaya waiz

    tere kahne se rind jaenge

    ye to hai KHana-e-KHuda waiz

    allah allah ye kibr aur ye ghurur

    kya KHuda ka hai dusra waiz

    be-KHata mai-kashon pe chashm-e-ghazab

    hashr hone de dekhna waiz

    hum hain qaht-e-sharab se bimar

    kis maraz ki hai tu dawa waiz

    rah chuka mai-kade mein sari umr

    kabhi mai-KHane mein bhi aa waiz

    hajw-e-mai kar raha tha mimbar par

    hum jo pahunche to pi gaya waiz

    duKHt-e-raz ko bura mere aage

    phir na kahna kabhi suna waiz

    aaj karta hun wasf-e-mai main 'amir'

    dekhun kahta hai is mein kya waiz

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now