chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin
chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
chup-chāp sah ga.e vo sitam bolte nahīñ
āñkheñ agarche ho ga.iiñ nam bolte nahīñ
sīdhā nishāñ lagāte haiñ dushman ke siine par
kahtā hai kaun un ke qalam bolte nahīñ
sargoshiyāñ guhar yahī karte haiñ siip meñ
majbūriyoñ ke saa.e meñ ham bolte nahīñ
hālāt āshkārā hoñ kaise zamāne meñ
ashkoñ ko pī ga.e haiñ alam bolte nahīñ
ik saath āsmāñ pe ye tūfāñ machā.eñge
mazlūmiyat kī aahoñ ke bam bolte nahīñ
apnā mizāj hai yahī shā.ir jo Thahre ham
ehsās kar rahe haiñ raqam bolte nahīñ
ḳhāmoshiyoñ ke saath vo manzil ko pā ga.e
jab jaate haiñ vo samt-e-adam bolte nahīñ
un ke tasavvufāt kī duniyā meñ dhuum hai
zāhir meñ garche ibn-e-adham bolte nahīñ
hai maslahat ḳhudā kī ki zāhir ye ho ga.e
ḳhud se tasarrufāt-e-karam bolte nahīñ
patthar pe chhoḌ jaate haiñ 'ainī' vo naqsh-e-pā
kahnā ġhalat hai un ke qadam bolte nahīñ
chup-chap sah gae wo sitam bolte nahin
aankhen agarche ho gain nam bolte nahin
sidha nishan lagate hain dushman ke sine par
kahta hai kaun un ke qalam bolte nahin
sargoshiyan guhar yahi karte hain sip mein
majburiyon ke sae mein hum bolte nahin
haalat aashkara hon kaise zamane mein
ashkon ko pi gae hain alam bolte nahin
ek sath aasman pe ye tufan machaenge
mazlumiyat ki aahon ke bam bolte nahin
apna mizaj hai yahi shair jo Thahre hum
ehsas kar rahe hain raqam bolte nahin
KHamoshiyon ke sath wo manzil ko pa gae
jab jate hain wo samt-e-adam bolte nahin
un ke tasawwufat ki duniya mein dhum hai
zahir mein garche ibn-e-adham bolte nahin
hai maslahat KHuda ki ki zahir ye ho gae
KHud se tasarrufat-e-karam bolte nahin
patthar pe chhoD jate hain 'aini' wo naqsh-e-pa
kahna ghalat hai un ke qadam bolte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.