Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai

Irfan Sattar

chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    chup hai āġhāz meñ, phir shor-e-ajal paḌtā hai

    aur kahīñ biich meñ imkān pal paḌtā hai

    ek vahshat hai ki hotī hai achānak taarī

    ek ġham hai ki yakāyak ubal paḌtā hai

    yaad phuul mahakte navāh-e-shab meñ

    koī ḳhushbū se mulāqāt ko chal paḌtā hai

    hujra-e-zāt meñ sannāTā aisā hai ki dil

    dhyān meñ gūñjtī aahaT pe uchhal paḌtā hai

    rok letā hai abad vaqt ke us paar raah

    dūsrī samt se jā.ūñ to azal paḌtā hai

    sā.atoñ yahī takrār hai jaarī har-dam

    merī duniyā meñ koī aaj, na kal paḌtā hai

    tāb-e-yak-lahza kahāñ husn-e-junūñ-ḳhez ke pesh

    saañs lene se tavajjoh meñ ḳhalal paḌtā hai

    mujh meñ phailī huī tārīkī se ghabrā ke koī

    raushnī dekh ke mujh meñ se nikal paḌtā hai

    jab bhī lagtā hai suḳhan na koī lau hai na rau

    daf.atan harf koī ḳhuuñ meñ machal paḌtā hai

    ġham chhupā.e nahīñ chhuptā hai karūñ kyā 'irfān'

    naam luuñ us to āvāz meñ bal paḌtā hai

    chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai

    aur kahin bich mein imkan ka pal paDta hai

    ek wahshat hai ki hoti hai achanak tari

    ek gham hai ki yakayak hi ubal paDta hai

    yaad ka phul mahakte hi nawah-e-shab mein

    koi KHushbu se mulaqat ko chal paDta hai

    hujra-e-zat mein sannaTa hi aisa hai ki dil

    dhyan mein gunjti aahaT pe uchhal paDta hai

    rok leta hai abad waqt ke us par ki rah

    dusri samt se jaun to azal paDta hai

    saaton ki yahi takrar hai jari har-dam

    meri duniya mein koi aaj, na kal paDta hai

    tab-e-yak-lahza kahan husn-e-junun-KHez ke pesh

    sans lene se tawajjoh mein KHalal paDta hai

    mujh mein phaili hui tariki se ghabra ke koi

    raushni dekh ke mujh mein se nikal paDta hai

    jab bhi lagta hai suKHan ki na koi lau hai na rau

    dafatan harf koi KHun mein machal paDta hai

    gham chhupae nahin chhupta hai karun kya 'irfan'

    nam lun us ka to aawaz mein bal paDta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now