chup hi rahun ya raaz tere sab kholun main
chup hī rahūñ yā raaz tire sab kholūñ maiñ
ai duniyā kuchh tere baare bolūñ maiñ
sūkhe jhiil to ek makān banānā hai
parbat haTe to ik darvāza kholūñ maiñ
aaj kuchh aisī jī meñ baat samā.ī hai
pahle bolūñ ba.ad meñ is ko tolūñ maiñ
yuuñ sahrā meñ saa.e kī tadbīr karūñ
piilī dhuup meñ aaj siyāhī gholūñ maiñ
banjar dil sairāb to hogā ashkoñ se
sahrā āñkhoñ kaho nā kaise ro luuñ maiñ
aaj kā kaam tamām huā kal dekheñge
itnī pyārī ġhazal kahī ab so luuñ maiñ
chup hi rahun ya raaz tere sab kholun main
ai duniya kuchh tere bare bolun main
sukhe jhil to ek makan banana hai
parbat haTe to ek darwaza kholun main
aaj kuchh aisi ji mein baat samai hai
pahle bolun baad mein is ko tolun main
yun sahra mein sae ki tadbir karun
pili dhup mein aaj siyahi gholun main
banjar dil sairab to hoga ashkon se
sahra aankhon kaho na kaise ro lun main
aaj ka kaam tamam hua kal dekhenge
itni pyari ghazal kahi ab so lun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.