chup ho kyon maine kuchh kaha to nahin
chup ho kyoñ maiñ ne kuchh kahā to nahīñ
ho hī jaatā ġhazab huā to nahīñ
raah meñ laakh mushkileñ aa.iiñ
hausla baḌh gayā ghaTā to nahīñ
yuuñ bhī murjhā ga.iiñ ka.ī kaliyāñ
maiñ ne dekhā magar chhuā to nahīñ
vo to mere junūñ kī bāteñ thiiñ
ham-nashīñ tū ne kuchh sunā to nahīñ
pahle duniyā-jahāñ ke ġham de do
phir kaho tujh ko kuchh huā to nahīñ
aap se duur aap kā 'fayyāz'
kuchh burā ho gayā hai thā to nahīñ
chup ho kyon main ne kuchh kaha to nahin
ho hi jata ghazab hua to nahin
rah mein lakh mushkilen aain
hausla baDh gaya ghaTa to nahin
yun bhi murjha gain kai kaliyan
main ne dekha magar chhua to nahin
wo to mere junun ki baaten thin
ham-nashin tu ne kuchh suna to nahin
pahle duniya-jahan ke gham de do
phir kaho tujh ko kuchh hua to nahin
aap se dur aap ka 'fayyaz'
kuchh bura ho gaya hai tha to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.