chup ho kyun ai payambaran-e-qalam
chup ho kyuuñ ai payambarān-e-qalam
baat chheḌo ki guzre shām-e-alam
chashm-e-hairat se dekhtā hai jahāñ
kis musavvir ke shāhkār haiñ ham
ham nikhāreñge terā husn-o-jamāl
ham sanvāreñge terī zulf ke ḳham
but-shikan mutma.in na hoñ ki abhī
nā-tarāshīda haiñ hazāroñ sanam
ba.ad marne ke ai 'razā' shāyad
kaam aa.eñ hamāre naqsh-e-qadam
chup ho kyun ai payambaran-e-qalam
baat chheDo ki guzre sham-e-alam
chashm-e-hairat se dekhta hai jahan
kis musawwir ke shahkar hain hum
hum nikhaarenge tera husn-o-jamal
hum sanwarenge teri zulf ke KHam
but-shikan mutmain na hon ki abhi
na-tarashida hain hazaron sanam
baad marne ke ai 'raza' shayad
kaam aaen hamare naqsh-e-qadam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.