chup hun sab jaanta magar hun main
chup huuñ sab jāntā magar huuñ maiñ
ye na samjho ki be-ḳhabar huuñ maiñ
yuuñ to kahne ko ik shajar huuñ maiñ
lekin afsos be-samar huuñ maiñ
koī apnā hai merī kamzorī
varna sachchī baḌā niDar huuñ maiñ
aaj be-fikr ho ke so jaao
mere ghar vaalo aaj ghar huuñ maiñ
zehn meñ lā.ineñ haiñ saḌkeñ haiñ
ab to lagtā hai ḳhud safar huuñ maiñ
har taraf ḳhushbūoñ se bhar dūñgā
mausam-e-gul kā muntazir huuñ maiñ
mujh pe chal kar to dekhiye 'ulfat'
maḳhmalī ghaas key Dagar huuñ maiñ
chup hun sab jaanta magar hun main
ye na samjho ki be-KHabar hun main
yun to kahne ko ek shajar hun main
lekin afsos be-samar hun main
koi apna hai meri kamzori
warna sachchi baDa niDar hun main
aaj be-fikr ho ke so jao
mere ghar walo aaj ghar hun main
zehn mein lainen hain saDken hain
ab to lagta hai KHud safar hun main
har taraf KHushbuon se bhar dunga
mausam-e-gul ka muntazir hun main
mujh pe chal kar to dekhiye 'ulfat'
maKHmali ghas key Dagar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.