chup khaDa hai aasman
chup khaḌā hai āsmāñ
kyā ḳhudā hai āsmāñ
log so chuke magar
jāgtā hai āsmāñ
rahnā hai zamīn par
sochnā hai āsmāñ
jo bhī kar rahe haiñ ham
dekhtā hai āsmāñ
tujh se mil ke yuuñ lagā
chhū liyā hai āsmāñ
kaun is zamīn par
rakh gayā hai āsmāñ
roz ik na.ī zamīñ
ik nayā hai āsmāñ
shahr kā makīn bhī
DhūñDhtā hai āsmāñ
mere vāste koī
ban gayā hai āsmāñ
jaane kis ke sog meñ
ro rahā hai āsmāñ
chup khaDa hai aasman
kya KHuda hai aasman
log so chuke magar
jagta hai aasman
rahna hai zamin par
sochna hai aasman
jo bhi kar rahe hain hum
dekhta hai aasman
tujh se mil ke yun laga
chhu liya hai aasman
kaun is zamin par
rakh gaya hai aasman
roz ek nai zamin
ek naya hai aasman
shahr ka makin bhi
DhunDhta hai aasman
mere waste koi
ban gaya hai aasman
jaane kis ke sog mein
ro raha hai aasman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.