Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega

Owais Ahmad Dauran

chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega

Owais Ahmad Dauran

MORE BYOwais Ahmad Dauran

    chup rahoge to zamāna is se bad-tar aa.egā

    aane vaalā din liye hāthoñ meñ ḳhanjar aa.egā

    vo lahū kar baḌe andāz se kahtā hai ye

    ġham har tūfān us ke ghar ke bāhar aa.egā

    kyā tamāshā hai Dare sahme hue haiñ saare log

    kyā mirī bastī meñ koī zālim afsar aa.egā

    lauT kar pīchhe kabhī jaatī nahīñ raftār-e-vaqt

    zindagī ko ab miTāne kaun ḳhud-sar aa.egā

    maiñ huuñ us bazm-e-hasīñ muddatoñ se muntazir

    sab ke hāthoñ meñ jahāñ labrez sāġhar aa.egā

    tum isī vaadī meñ Thahro intizār us karo

    vo tumhāre paas ik paiġhām le kar aa.egā

    kūcha kūcha se uThegī ġham-zadoñ ek lahr

    qarya qarya se bahī-ḳhvāhoñ lashkar aa.egā

    haath meñ mish.al liye har samt pahre par raho

    raat chādar lapeTe hamla-āvar aa.egā

    dekh ai sayyāh mere des ujḌī bahār

    is se baḌh kar bhī koī ġhamgīn manzar aa.egā

    merī surḳhī-e-tasavvur se haiñ kyuuñ nārāz aap

    kyā harā peḌ aap tak bhī phuul le kar aa.egā

    Dhal chalī 'daurāñ' javānī chamaktī dopahar

    ab bhalā pahlū meñ mere kaun dilbar aa.egā

    chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega

    aane wala din liye hathon mein KHanjar aaega

    wo lahu pi kar baDe andaz se kahta hai ye

    gham ka har tufan us ke ghar ke bahar aaega

    kya tamasha hai Dare sahme hue hain sare log

    kya meri basti mein koi zalim afsar aaega

    lauT kar pichhe kabhi jati nahin raftar-e-waqt

    zindagi ko ab miTane kaun KHud-sar aaega

    main hun us bazm-e-hasin ka muddaton se muntazir

    sab ke hathon mein jahan labrez saghar aaega

    tum isi wadi mein Thahro intizar us ka karo

    wo tumhaare pas ek paigham le kar aaega

    kucha kucha se uThegi gham-zadon ki ek lahr

    qarya qarya se bahi-KHwahon ka lashkar aaega

    hath mein mishal liye har samt pahre par raho

    raat ki chadar lapeTe hamla-awar aaega

    dekh ai sayyah mere des ki ujDi bahaar

    is se baDh kar bhi koi ghamgin manzar aaega

    meri surKHi-e-tasawwur se hain kyun naraaz aap

    kya hara peD aap tak bhi phul le kar aaega

    Dhal chali 'dauran' jawani ki chamakti dopahar

    ab bhala pahlu mein mere kaun dilbar aaega

    Source :
    • Book : Ababeel (Pg. 69)
    • Author : Owais Ahmad Dauran
    • Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now