chupke chupke ye kaam karta ja
chupke chupke ye kaam kartā jā
kaam sab kā tamām kartā jā
ham ko badnām kar zamāne meñ
kuchh zamāne meñ naam kartā jā
yaad kī shāh-rāh-e-sīmīñ par
ai saman-bar ḳhirām kartā jā
ai ki terā mizāj shabnam sā
barg-e-dil par qayām kartā jā
ashk āñkhoñ meñ le ke ruḳhsat ho
merā marnā harām kartā jā
bastiyoñ kā ujaḌnā basnā kyā
be-jhijak qatl-e-ām kartā jā
dāstāñ-go tirī kahānī meñ
ramz kiyā hai kalām kartā jā
chaar chhai sher kaam ke kah le
kuchh to 'maz.har--imām' kartā jā
chupke chupke ye kaam karta ja
kaam sab ka tamam karta ja
hum ko badnam kar zamane mein
kuchh zamane mein nam karta ja
yaad ki shah-rah-e-simin par
ai saman-bar KHiram karta ja
ai ki tera mizaj shabnam sa
barg-e-dil par qayam karta ja
ashk aankhon mein le ke ruKHsat ho
mera marna haram karta ja
bastiyon ka ujaDna basna kya
be-jhijak qatl-e-am karta ja
dastan-go teri kahani mein
ramz kiya hai kalam karta ja
chaar chhai sher kaam ke kah le
kuchh to 'mazhar--imam' karta ja
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.