chupke se dimagh mein dar aae
chupke se dimāġh meñ dar aa.e
yādoñ ke safīr bin bulā.e
kab tak dukh kā dhuāñ dhuāñ sā
kab tak ġham ke muhīb saa.e
bahrūpiyo ruup kī duhā.ī
taskīn-e-nazar ko koī aa.e
baiThe haiñ qadam qadam pe naqqād
tā.īd kī mish.aleñ jalā.e
dāmān-e-ḳhirad ne ye havā dī
jitne the charāġh sab bujhā.e
āñkhoñ se nikal gayā añdherā
taare se palak pe jagmagā.e
gulshan gulshan khañgāl Daalā
ḳhushbū ḳhushbū pukār aa.e
is koh-e-ḳhirad ko maiñ karūñ kyā
dīvāne se kab uThāyā jaa.e
huuñ bū-e-gul ḳhizāñ-gazīda
koī jise DhūñDe bhī na paa.e
pat-jhaḌ ko rahnumā banā kar
kaliyoñ ne ajiib gul khilā.e
darbār-e-suḳhan-varāñ meñ tanhā
baiThā hai razā bhī sar jhukā.e
chupke se dimagh mein dar aae
yaadon ke safir bin bulae
kab tak dukh ka dhuan dhuan sa
kab tak gham ke muhib sae
bahrupiyo rup ki duhai
taskin-e-nazar ko koi aae
baiThe hain qadam qadam pe naqqad
taid ki mishalen jalae
daman-e-KHirad ne ye hawa di
jitne the charagh sab bujhae
aankhon se nikal gaya andhera
tare se palak pe jagmagae
gulshan gulshan khangal Dala
KHushbu KHushbu pukar aae
is koh-e-KHirad ko main karun kya
diwane se kab uThaya jae
hun bu-e-gul KHizan-gazida
koi jise DhunDe bhi na pae
pat-jhaD ko rahnuma bana kar
kaliyon ne ajib gul khilae
darbar-e-suKHan-waran mein tanha
baiTha hai raza bhi sar jhukae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.