chura kar nazar ek nazar dekh lena
churā kar nazar ik nazar dekh lenā
mohabbat kā phir tum asar dekh lenā
tumheñ apne jalvoñ se fursat mile to
hameñ bhī kabhī ik nazar dekh lenā
kasak dil meñ tum ko bhī mahsūs hogī
jo maare haiñ tīr-e-nazar dekh lenā
Dubo degā ik din safīne ko tere
ye hirs-o-havas kā bhañvar dekh lenā
fazāoñ meñ shohrat kī uḌne se pahle
shikasta na hoñ bāl-o-par dekh lenā
kahāñ tak taḌaptā rahūñ dard ban kar
kabhī aa ke zaḳhm-e-jigar dekh lenā
chura kar nazar ek nazar dekh lena
mohabbat ka phir tum asar dekh lena
tumhein apne jalwon se fursat mile to
hamein bhi kabhi ek nazar dekh lena
kasak dil mein tum ko bhi mahsus hogi
jo mare hain tir-e-nazar dekh lena
Dubo dega ek din safine ko tere
ye hirs-o-hawas ka bhanwar dekh lena
fazaon mein shohrat ki uDne se pahle
shikasta na hon baal-o-par dekh lena
kahan tak taDapta rahun dard ban kar
kabhi aa ke zaKHm-e-jigar dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.