chum kar tum agar jabin jate
chuum kar tum agar jabīñ jaate
phir balā se mirī kahīñ jaate
tum se bichhḌe to phir khulā- ham par
log bichhḌeñ to mar nahīñ jaate
aate aate qarār aatā hai
jaate jaate haiñ kuchh yaqīñ jaate
jin pe chaltā nahīñ kabhī koī
aise raste bhī haiñ kahīñ jaate
chal judā.ī tirī zarūrat thī
chhoḌ tafsīl meñ nahīñ jaate
chum kar tum agar jabin jate
phir bala se meri kahin jate
tum se bichhDe to phir khula- hum par
log bichhDen to mar nahin jate
aate aate qarar aata hai
jate jate hain kuchh yaqin jate
jin pe chalta nahin kabhi koi
aise raste bhi hain kahin jate
chal judai teri zarurat thi
chhoD tafsil mein nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.