dard-e-dil jab kabhi ayan hoga
dard-e-dil jab kabhī ayaañ hogā
karb chehre se bhī bayāñ hogā
dil ke armān bujh ga.e saare
ab to har samt bas dhuāñ hogā
merī hī āñkheñ jab samundar haiñ
ḳhuun bhī merā hī ravāñ hogā
us jahāñ meñ to jaane kal kyā ho
is jahāñ meñ mirā makāñ hogā
merī āñkhoñ meñ jo basā hai 'sahar'
kal na jaane kidhar kahāñ hogā
dard-e-dil jab kabhi ayan hoga
karb chehre se bhi bayan hoga
dil ke arman bujh gae sare
ab to har samt bas dhuan hoga
meri hi aankhen jab samundar hain
KHun bhi mera hi rawan hoga
us jahan mein to jaane kal kya ho
is jahan mein mera makan hoga
meri aankhon mein jo basa hai 'sahar'
kal na jaane kidhar kahan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.